Maa Sunao Mujhe Wo Kahani

Maa sunao mujhe wo kahani
jisMe raja na ho na ho raNi

jo hamari tumhari katha ho
jo sabhi ke hriday ki gatha ho
gandh jisme ho apni dhara ki
baat jisme na ho apsara ki
ho na pariYan jahaN aasmaani

wo kahani ko hasna sikha de
pet ki bhookh ko bhi mita de
jisme sach ki bhari chaandni ho
jisme um'meed ki roshni ho
jisme na ho kahani puraani

Album : Cry for CRY
Singer : Jagjit Singh

Close Window