ShaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya
nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya
'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
Album : Khumaar Singer : Jagjit Singh