Tere baare meiN jab socha nahiN thaa maiN tanha tha magar itna nahiN thaa
teri tasveer se karta thaa baateN mere kamer meiN aayina nahiN thaa
samandar ne muJhe pyaasa hi rakha maiN jab sahra meiN thaa pyaasa nahiN thaa
manaane ruThne ke khel meiN hum bichaD jaayenge ye socha nahiN thaa
suna hai band kar li aaNkheN usne kai raatoN se wo soya nahiN thaa
Album : Saher Singer : Jagjit Singh