Tum Baithe ho Lekin Jaate Dekh Raha Hoon

Tum baiThe ho lekin jaate dekh raha hooN
maiN tanhaayi ke din aate dekh raha hooN

aane waaale lamHe se dil sehma hai
tumko bhi darte ghabraate dekh raha hooN

kab yaadoN ka zakhM bhare kab daag miTe
kitne din lagte hain bhulaate dekh raha hooN

uski aankhoN mein bhi kaajal faila hai
main bhi muDke jaate jaate dekh raha hooN

Album : Soz
Singer : Jagjit Singh

Close Window