Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
» Complete Ghazal
baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
» Complete Ghazal
LikHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai
huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee
» Complete Ghazal
nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
hum unko paas biThakar sharaab peete haiN
isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN
» Complete Ghazal
Tum ye kaise juda ho gaye
har taraf har jagah ho gaye
apana chehra na badlaa gaya
aayine se khafa ho gaye
» Complete Ghazal
Pyar muJh se jo kiyaa tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi meiN bikhar jaaogi
» Complete Ghazal
ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye
kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye
» Complete Ghazal
|
Tum ko dekha
to ye khayaal aaya
zindagi dhoop tum ghana chaaya
aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humNe samJhaaya
» Complete Ghazal
Apne hoThoN par sajaana chaahta hooN
aa tuJhe maiN gun-gunaana chaahta hooN
thak gaya maiN karte-karte yaad tuJhko
ab tuJhe maiN yaad aana chaahta hooN
» Complete Ghazal
wo rulakar hans na paya der taq
jab maiN rokar mushkuraaya der taq
bhoolna chaaha agar usko kabhi
aur bhi wo yaad aaya der taq
» Complete Ghazal
tera chehra kita suhaana lagta hai
tere aage chaand puraana lagta hai
tirche-tirche teer nazar ke lagte haiN
seedha-seedha dil pe nishaana lagta hai
» Complete Ghazal
yaad nahin kya kya dekha tha
saare maNzar bhool gaye
uski galiyaaN se jab lauTe
apna bhi ghar bhool gaye
» Complete Ghazal
aaye haiN samjhaane log
haiN kitne deewane log
dair-o-haram meiN chain jo miltha
kyoN jaathe maikhaane log
» Complete Ghazal
|